hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi
Hasrat Mohani
hai wahan shan-e-taghaful ko jafa se bhi gurez
iltifat-e-nigah-e-yar kahan se laun
Hasrat Mohani
hum jaur-paraston pe guman tark-e-wafa ka
ye wahm kahin tum ko gunahgar na kar de
Hasrat Mohani
hum kya karen agar na teri aarzu karen
duniya mein aur bhi koi tere siwa hai kya
Hasrat Mohani
haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki
tujhe to ab wo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain
Hasrat Mohani
'hasrat' bahut hai martaba-e-ashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diya
Hasrat Mohani
'hasrat' jo sun rahe hain wo ahl-e-wafa ka haal
is mein bhi kuchh fareb teri dastan ke hain
Hasrat Mohani

