KHuda jaane kis kis ki ye jaan legi
wo qatil ada wo qaza mahki mahki
Hasrat Jaipuri
kis waste likkha hai hatheli pe mera nam
main harf-e-ghalat hun to miTa kyun nahin dete
Hasrat Jaipuri
ye kis ne kaha hai meri taqdir bana de
aa apne hi hathon se miTane ke liye aa
Hasrat Jaipuri
aaine mein wo dekh rahe the bahaar-e-husn
aaya mera KHayal to sharma ke rah gae
Hasrat Mohani
aap ko aata raha mere satane ka KHayal
sulh se achchhi rahi mujh ko laDai aap ki
Hasrat Mohani
aarzu teri barqarar rahe
dil ka kya hai raha raha na raha
Hasrat Mohani
ai yaad-e-yar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain teri KHalish-e-na-tawan se hum
Hasrat Mohani

