kya zaruri hai ju-e-shir ki baat
kyun na gang-o-jaman ki baat karen
Haidar Ali Jafri
sabhi to dost hain kyun shak abas hua mujh ko
kisi ke hath ka patthar meri talash mein hai
Haidar Ali Jafri
chand ban kar chamakne wale ne
mujh ko suraj-misal kar Dala
Haidar Qureshi
daraKHton par parinde lauT aana chahte hain
KHizan-rut ka guzar jaana zaruri ho gaya hai
Haidar Qureshi
dil ko to bahut pahle se dhaDka sa laga tha
pana tera shayad tujhe khone ke liye hai
Haidar Qureshi
maut se pahle jahan mein chand sanson ka azab
zindagi jo qarz tera tha ada kar aae hain
Haidar Qureshi
pani mein bhi chand sitare ug aate hain
aankh se dil tak wo zarKHezi ho jati hai
Haidar Qureshi

