arhaman khole higa but-kada ka darwaza
band rahne ka nahin kar-e-KHuda-saz apna
Haidar Ali Aatish
astiyan hi bastiyan hain gumbad-e-aflak mein
saikDon farsang majnun se bayaban rah gaya
Haidar Ali Aatish
ayan KHwab ki tarah jo kar raha hai
ye qissa hai jab ka ki 'atish' jawan tha
Haidar Ali Aatish
hara hai shisha-e-dil ko nai mohabbat se
KHuda ka ghar tha jahan wan sharab-KHana hua
Haidar Ali Aatish
dil ki kuduraten agar insan se dur hon
sare nifaq gabr o musalman se dur hon
Haidar Ali Aatish
doston se is qadar sadme uThae jaan par
dil se dushman ki adawat ka gila jata raha
Haidar Ali Aatish
duniya o aaKHirat mein talabgar hain tere
hasil tujhe samajhte hain donon jahan mein hum
Haidar Ali Aatish

