wo waqt ka jahaz tha karta lihaz kya
main doston se hath milane mein rah gaya
Hafeez Merathi
ye bhi to sochiye kabhi tanhai mein zara
duniya se hum ne kya liya duniya ko kya diya
Hafeez Merathi
ye hunar bhi baDa zaruri hai
kitna jhuk kar kise salam karo
Hafeez Merathi
simTa tera KHayal to gul-rang ashk tha
phaila to misl-e-dasht-e-wafa phailta gaya
Hafiz Taib
ye dil hai mera ya kisi kuTiya ka diya hai
bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-sham
Hafiz Taib
aadmi kya wo na samjhe jo suKHan ki qadr ko
nutq ne haiwan se musht-e-KHak ko insan kiya
Haidar Ali Aatish
aafat-e-jaan hui us ru-e-kitabi ki yaad
ras aaya na mujhe hafiz-e-quran hona
Haidar Ali Aatish

