aisi unchi bhi to diwar nahin ghar ki tere
raat andheri koi aawegi na barsat mein kya
Haidar Ali Aatish
ajab teri hai ai mahbub surat
nazar se gir gae sab KHubsurat
Haidar Ali Aatish
amrad-parast hai to gulistan ki sair kar
har naunihaal rashk hai yan KHurd-sal ka
Haidar Ali Aatish
aad farhad ke phir koh-kani main ne ki
baad majnun ke kiya main ne bayaban aabaad
Haidar Ali Aatish
aDa shor sunte the pahlu mein dil ka
jo chira to ek qatra-e-KHun na nikla
Haidar Ali Aatish
ahr-e-hasti sa koi dariya-e-be-payan nahin
aasman-e-nil-gun sa sabza-e-sahil kahan
Haidar Ali Aatish
andish-e-alfaz jaDne se nigun ke kam nahin
shaeri bhi kaam hai 'atish' murassa-saz ka
Haidar Ali Aatish

