jism-e-azadi mein phunki tu ne majburi ki ruh
KHair jo chaha kiya ab ye bata hum kya karen
Fani Badayuni
kafan ai gard-e-lahad dekh na maila ho jae
aaj hi hum ne ye kapDe hain naha ke badle
Fani Badayuni
karam-e-be-hisab chaha tha
sitam-e-be-hisab mein guzri
Fani Badayuni
kashti-e-e'tibar toD ke dekh
ki KHuda bhi hai na-KHuda hi nahin
Fani Badayuni
kis KHarabi se zindagi 'fani'
is jahan-e-KHarab mein guzri
Fani Badayuni
kisi ke ek ishaare mein kis ko kya na mila
bashar ko zist mili maut ko bahana mila
Fani Badayuni
kisi ko kya mere sud o ziyan se
gire kyun barq bach kar aashiyan se
Fani Badayuni