fani dawa-e-dard-e-jigar zahr to nahin
kyun hath kanpta hai mere chaarasaz ka
Fani Badayuni
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
Fani Badayuni
har musibat ka diya ek tabassum se jawab
is tarah gardish-e-dauran ko rulaya main ne
Fani Badayuni
har nafas umr-e-guzishta ki hai mayyat 'fani'
zindagi nam hai mar mar ke jiye jaane ka
Fani Badayuni
hazar DhunDiye us ka nishan nahin milta
jabin mile to mile aastan nahin milta
Fani Badayuni
hijr mein muskurae ja dil mein use talash kar
naz-e-sitam uThae ja raaz-e-sitam na fash ka
Fani Badayuni
hote hain raaz-e-ishq-o-mohabbat isi se fash
aankhen zaban nahin hai agar be-zaban nahin
Fani Badayuni