ibtida-e-ishq hai lutf-e-shabab aane ko hai
sabr ruKHsat ho raha hai iztirab aane ko hai
Fani Badayuni
ek muamma hai samajhne ka na samjhane ka
zindagi kahe ko hai KHwab hai diwane ka
Fani Badayuni
is dard ka ilaj ajal ke siwa bhi hai
kyun chaarasaz tujh ko ummid-e-shifa bhi hai
Fani Badayuni
jalwa o dil mein farq nahin jalwe ko hi ab dil kahte hain
yani ishq ki hasti ka aaghaz to hai anjam nahin
Fani Badayuni
jaur ko jaur bhi ab kya kahiye
KHud wo taDpa ke taDap jate hain
Fani Badayuni
jawani ko bacha sakte to hain har dagh se waiz
magar aisi jawani ko jawani kaun kahta hai
Fani Badayuni
jine bhi nahin dete marne bhi nahin dete
kya tum ne mohabbat ki har rasm uTha Dali
Fani Badayuni