na-mehrbaniyon ka gila tum se kya karen
hum bhi kuchh apne haal pe ab mehrban nahin
Fani Badayuni
na-umidi maut se kahti hai apna kaam kar
aas kahti hai Thahar KHat ka jawab aane ko hai
Fani Badayuni
nahin zarur ki mar jaen jaan-nisar tere
yahi hai maut ki jina haram ho jae
Fani Badayuni
phir kisi ki yaad ne taDpa diya
phir kaleja tham kar hum rah gae
Fani Badayuni
one ke bhi aadab hua karte hain 'fani'
ye us ki gali hai tera gham-KHana nahin hai
Fani Badayuni
oz hai dard-e-mohabbat ka nirala andaz
roz dil mein teri taswir badal jati hai
Fani Badayuni
oz-e-jaza gila to kya shukr-e-sitam hi ban paDa
hae ki dil ke dard ne dard ko dil bana diya
Fani Badayuni