اردو हिंदी
Har ghaDi inqalab mein guzri | Shaahi Shayari
har ghaDi inqalab mein guzri

Ghazal

Har ghaDi inqalab mein guzri

Fani Badayuni

;

har ghaDi inqalab mein guzri
zindagi kis azab mein guzri

shauq tha mana-e-tajalli-e-dost
un ki shoKHi hijab mein guzri

karam-e-be-hisab chaha tha
sitam-e-be-hisab mein guzri

warna dushwar tha sukun-e-hayat
KHair se iztirab mein guzri

raaz-e-hasti ki justuju mein rahe
raat tabir-e-KHwab mein guzri

kuchh kaTi himmat-e-sawal mein umr
kuchh umid-e-jawab mein guzri

kis KHarabi se zindagi 'fani'
is jahan-e-KHarab mein guzri