nahin khulta ki aaKHir ye tilismati tamasha sa
zamin ke is taraf aur aasman ke us taraf kya hai
Ejaz Gul
natija ek sa nikla dimagh aur dil ka
ki donon haar gae imtihan mein duniya ke
Ejaz Gul
paya na kuchh KHala ke siwa aks-e-hairati
guzra tha aar-par hazar aaine ke sath
Ejaz Gul
qismat ki KHarabi hai ki jata hun ghalat samt
paDta hai bayaban bayaban se aage
Ejaz Gul
sust-rau musafir ki qismaton pe kya rona
tez chalne wala bhi dasht-e-be-aman mein hai
Ejaz Gul
uTha rakhi hai kisi ne kaman suraj ki
gira raha hai mere raat din nishane se
Ejaz Gul
hatheliyon mein lakiron ka jal tha kitna
mere nasib mein mera zawal tha kitna
Ejaz Obaid