muqayyad ho na jaana zat ke gumbad mein yaro
kisi rauzan kisi darwaza ko wa chhoD dena
Ejaz Obaid
sahar hote hi koi ho gaya ruKHsat gale mil kar
fasane raat ke kahti rahi TuTi hui chuDi
Ejaz Obaid
abhi se panw ke chhaale na dekho
abhi yaro safar ki ibtida hai
Ejaz Rahmani
fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate
KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega
Ejaz Rahmani
guzar raha hun main sauda-garon ki basti se
badan pe dekhiye kab tak libas rahta hai
Ejaz Rahmani
jahan pe Dub gaya meri aas ka suraj
usi jagah wo sitara-shanas rahta hai
Ejaz Rahmani
talab to barsat mein ho jate hain kam-zarf
bahar kabhi aape se samundar nahin hota
Ejaz Rahmani