do taraf tha hujum sadiyon ka
ek lamha sa darmiyan main tha
Ejaz Azmi
main wahan hun jahan nahin koi
kuchh nahin tha jahan wahan main tha
Ejaz Azmi
ajib shaKHs tha main bhi bhula nahin paya
kiya na us ne bhi inkar yaad aane se
Ejaz Gul
atwar us ke dekh ke aata nahin yaqin
insan suna gaya hai ki aafaq mein raha
Ejaz Gul
e-sabab jama to karta nahin tir o tarkash
kuchh hadaf hoga zamane ki sitamgari ka
Ejaz Gul
ujhi nahin mere aatish-kade ki aag abhi
uTha nahin hai badan se dhuan kahan gaya main
Ejaz Gul
chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir
pechaak banati rahi pechaak se baha
Ejaz Gul