wo ek pal ki rifaqat bhi kya rifaqat thi
jo de gai hai mujhe umar bhar ki tanhai
Ejaz Rahmani
aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi
is ka nam duniya hai ye badalti rahti hai
Ejaz Siddiqi
aur zikr kya kije apne dil ki haalat ka
kuchh bigaDti rahti hai kuchh sambhalti rahti hai
Ejaz Siddiqi
duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai
ek mohr-e-KHamoshi hai ki honTon pe lagi hai
Ejaz Siddiqi
aap aae hain haal puchha hai
hum ne aise bhi KHwab dekhe hain
Ejaz Warsi
ai sang-e-astan mere sajdon ki laj rakh
aaya hun e'tiraf-e-shikast-e-KHudi liye
Ejaz Warsi
arson mein bhi chhu jae kisi ko to ghanimat
KHushbu-e-wafa yaro baDi sust-qadam hai
Ejaz Warsi