mujh ko maza hai chheD ka dil manta nahin
gali sune baghair sitam-gar kahe baghai
Dagh Dehlvi
mujhe yaad karne se ye muddaa tha
nikal jae dam hichkiyan aate aate
Dagh Dehlvi
na jaana ki duniya se jata hai koi
bahut der ki mehrban aate aate
Dagh Dehlvi
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka
pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta
Dagh Dehlvi
na samjha umr guzri us but-e-kafar ko samjhate
pighal kar mom ho jata agar patthar ko samjhate
Dagh Dehlvi
naseh ne mera haal jo mujh se bayan kiya
aansu Tapak paDe mere be-iKHtiyar aaj
Dagh Dehlvi
na-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
Dagh Dehlvi