le chala jaan meri ruTh ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera
Dagh Dehlvi
lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
Dagh Dehlvi
main bhi hairan hun ai 'dagh' ki ye baat hai kya
wada wo karte hain aata hai tabassum mujh ko
Dagh Dehlvi
marg-e-dushman ka ziyaada tum se hai mujh ko malal
dushmani ka lutf shikwon ka maza jata raha
Dagh Dehlvi
mere qabu mein na pahron dil-e-nashad aaya
wo mera bhulne wala jo mujhe yaad aaya
Dagh Dehlvi
'mir' ka rang baratna nahin aasan ai 'dagh'
apne diwan se mila dekhiye diwan un ka
Dagh Dehlvi
meri aah ka tum asar dekh lena
wo aaenge thame jigar dekh lena
Dagh Dehlvi