yahan libas ki qimat hai aadmi ki nahin
mujhe gilas baDe de sharab kam kar de
Bashir Badr
ye ek peD hai aa is se mil ke ro len hum
yahan se tere mere raste badalte hain
Bashir Badr
ye parinde bhi kheton ke mazdur hain
lauT ke apne ghar sham tak jaenge
Bashir Badr
ye phul mujhe koi wirasat mein mile hain
tum ne mera kanTon bhara bistar nahin dekha
Bashir Badr
ye shabnami lahja hai aahista ghazal paDhna
titli ki kahani hai phulon ki zabani hai
Bashir Badr
ye zafrani pullower usi ka hissa hai
koi jo dusra pahne to dusra hi lage
Bashir Badr
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
panw phailaun to diwar mein sar lagta hai
Bashir Badr