tumhaare ghar ke sabhi raston ko kaT gai
hamare hath mein koi lakir aisi thi
Bashir Badr
tumhaare sath ye mausam farishton jaisa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataega
Bashir Badr
tumhein zarur koi chahaton se dekhega
magar wo aankhen hamari kahan se laega
Bashir Badr
uDne do parindon ko abhi shoKH hawa mein
phir lauT ke bachpan ke zamane nahin aate
Bashir Badr
udas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
Bashir Badr
ujale apni yaadon ke hamare sath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki sham ho jae
Bashir Badr
unhin raston ne jin par kabhi tum the sath mere
mujhe rok rok puchha tera ham-safar kahan hai
Bashir Badr