deta raha wo galiyan aur main raha KHamosh
phir yun hua ki wo mere qadmon mein gir gaya
Bashir Mehtaab
gunjunga tere zehn ke gumbad mein raat-din
jis ko na tu bhula sake wo guftugu hun main
Bashir Saifi
KHud apni hi gahrai mein
aaKHir ko gharqab hue hum
Bashir Saifi
tere nam ka tara jaane kab dikhai de
ek jhalak ki KHatir hum raat bhar Tahalte hain
Bashir Saifi
ahd ke sath ye bhi ho irshad
kis tarah aur kab milenge aap
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
andhan sa ek bandha tha rag-o-pai se jism mein
marne ke baad hath se moti bikhar gae
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya
ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya
Bashiruddin Ahmad Dehlvi