main sisakta rah gaya aur mar gae farhad o qais
kya unhi donon ke hisse mein qaza thi main na tha
Bahadur Shah Zafar
marg hi sehat hai us ki marg hi us ka ilaj
ishq ka bimar kya jaane dawa kya chiz hai
Bahadur Shah Zafar
mehnat se hai azmat ki zamane mein nagin ko
be-kawish-e-sina na kabhi namwari di
Bahadur Shah Zafar
mere surKH lahu se chamki kitne hathon mein mehndi
shahr mein jis din qatl hua main id manai logon ne
Bahadur Shah Zafar
na durweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana
Bahadur Shah Zafar
na dunga dil use main ye hamesha kahta tha
wo aaj le hi gaya aur 'zafar' se kuchh na hua
Bahadur Shah Zafar
na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahwal
na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun
Bahadur Shah Zafar