ye chaman yunhi rahega aur hazaron bulbulen
apni apni boliyan sab bol kar uD jaengi
Bahadur Shah Zafar
ye qissa wo nahin tum jis ko qissa-KHwan se suno
mere fasana-e-gham ko meri zaban se suno
Bahadur Shah Zafar
'zafar' aadmi us ko na jaaniyega wo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka
jise aish mein yaad-e-KHuda na rahi jise taish mein KHauf-e-KHuda na raha
Bahadur Shah Zafar
'zafar' badal ke radif aur tu ghazal wo suna
ki jis ka tujh se har ek sher intiKHab hua
Bahadur Shah Zafar
DhunDh kar dil mein nikala tujh ko yar
tu ne ab mehnat meri be-kar ki
Bahram ji
hai musalman ko hamesha aab-e-zamzam ki talash
aur har ek barhaman gang-o-jaman mein mast hai
Bahram ji
ishq mein dil se hum hue mahw tumhaare ai buto
KHali hain chashm-o-dil karo in mein guzar kisi tarah
Bahram ji