hath kyun bandhe mere chhalla agar chori hua
ye sarapa shoKHi-e-rang-e-hina thi main na tha
Bahadur Shah Zafar
hum apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao
ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho
Bahadur Shah Zafar
hamdamo dil ke lagane mein kaho lagta hai kya
par chhuDana is ka mushkil hai lagana sahl hai
Bahadur Shah Zafar
ho gaya jis din se apne dil par us ko iKHtiyar
iKHtiyar apna gaya be-iKHtiyari rah gai
Bahadur Shah Zafar
idhar KHayal mere dil mein zulf ka guzra
udhar wo khata hua dil mein pech-o-tab aaya
Bahadur Shah Zafar
itna na apne jame se bahar nikal ke chal
duniya hai chal-chalaw ka rasta sambhal ke chal
Bahadur Shah Zafar
jo tu ho saf to kuchh main bhi saf tujh se kahun
tere hai dil mein kudurat kahun to kis se kahun
Bahadur Shah Zafar