oz mamura-e-duniya mein KHarabi hai 'zafar'
aisi basti ko to virana banaya hota
Bahadur Shah Zafar
sab miTa den dil se hain jitni ki us mein KHwahishen
gar hamein malum ho kuchh us ki KHwahish aur hai
Bahadur Shah Zafar
saham kar ai 'zafar' us shoKH kaman-dar se kah
khinch kar dekh mere sine se tu tir na toD
Bahadur Shah Zafar
tamanna hai ye dil mein jab talak hai dam mein dam apne
'zafar' munh se hamare nam us ka dam-ba-dam nikle
Bahadur Shah Zafar
tu kahin ho dil-e-diwana wahan pahunchega
shama hogi jahan parwana wahan pahunchega
Bahadur Shah Zafar
yan tak adu ka pas hai un ko ki bazm mein
wo baiThte bhi hain to mere ham-nashin se du
Bahadur Shah Zafar
yar tha gulzar tha baad-e-saba thi main na tha
laeq-e-pabos-e-jaanan kya hina thi main na tha
Bahadur Shah Zafar