chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna
dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya
Bahadur Shah Zafar
daulat-e-duniya nahin jaane ki hargiz tere sath
baad tere sab yahin ai be-KHabar baT jaegi
Bahadur Shah Zafar
dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na toD
ghar hai allah ka ye is ki to tamir na toD
Bahadur Shah Zafar
dil ko dil se rah hai to jis tarah se hum tujhe
yaad karte hain kare yun hi hamein bhi yaad tu
Bahadur Shah Zafar
farhad o qais o wamiq o azra the chaar dost
ab hum bhi aa mile to hue mil ke chaar panch
Bahadur Shah Zafar
ghazab hai ki dil mein to rakkho kudurat
karo munh pe hum se safai ki baaten
Bahadur Shah Zafar
haal-e-dil kyun kar karen apna bayan achchhi tarah
ru-ba-ru un ke nahin chalti zaban achchhi tarah
Bahadur Shah Zafar