shiw to nahin hum phir bhi hum ne duniya bhar ke zahr piye
itni kaDwahaT hai munh mein kaise miThi baat karen
Aziz Bano Darab Wafa
sunne wale mera qissa tujhe kya lagta hai
chor darwaza kahani ka khula lagta hai
Aziz Bano Darab Wafa
tamam umr kisi aur nam se mujh ko
pukarta raha ek ajnabi zaban mein wo
Aziz Bano Darab Wafa
TaTolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha
wo aadmi jo meri dastan tak pahuncha
Aziz Bano Darab Wafa
tishnagi meri musallam hai magar jaane kyun
log de dete hain TuTe hue pyale mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
umr bhar raste ghere rahe us shaKHs ka ghar
umr bhar KHauf ke mare na wo bahar nikla
Aziz Bano Darab Wafa
us ki har baat samajh kar bhi main anjaan rahi
chandni raat mein DhunDa kiya jugnu wo bhi
Aziz Bano Darab Wafa