us ne chaha tha ki chhup jae wo apne andar
us ki qismat ki kisi aur ka wo ghar nikla
Aziz Bano Darab Wafa
wafa ke nam par paira kiye kachche ghaDe le kar
Duboya zindagi ko dastan-dar-dastan hum ne
Aziz Bano Darab Wafa
waqt hakim hai kisi roz dila hi dega
dil ke sailab-zada shahr pe qabza mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
waraq ulaT diya karta hai be-KHayali mein
wo shaKHs jab mera chehra kitab hota hai
Aziz Bano Darab Wafa
wo mera saya mere pichhe laga kar kho gaya
jab kabhi dekha hai us ne bhiD mein shamil mujhe
Aziz Bano Darab Wafa
wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujh ko
aur DhunDega kahin mere alawa mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhungi
agar main zaKHm hun us ka to bhar ke dekhungi
Aziz Bano Darab Wafa