اردو हिंदी
Liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan humne | Shaahi Shayari
liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan humne

Ghazal

Liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan humne

Aziz Bano Darab Wafa

;

liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan hum ne
ki ek talwar rakh di zindagi ke darmiyan hum ne

hamein to umr bhar rahna tha KHwabon ke jaziron mein
kinaron par pahunch kar phunk Dalin kashtiyan hum ne

hamare jism hi kya sae tak jismon ke zaKHmi hain
dilon mein ghonp lin hain raushni ki barchhiyan hum ne

hamein di jaegi phansi hamare apne jismon mein
ujaDi hain tamannaon ki lakhon bastiyan hum ne

wafa ke nam par paira kiye kachche ghaDe le kar
Duboya zindagi ko dastan-dar-dastan hum ne