ek manzil hai magar rah kai hain 'azhar'
sochna ye hai ki jaoge kidhar se pahle
Azhar Lakhnawi
ye mohabbat ka fasana bhi badal jaega
waqt ke sath zamana bhi badal jaega
Azhar Lakhnawi
a-waqt-e-sham samundar mein gir gaya suraj
tamam din ki thakan se niDhaal aisa tha
Azhar Naiyyar
chaha hai jis ka saya shajar wo babul hai
qismat mein mere aaj bhi saDkon ki dhul hai
Azhar Naiyyar
dil KHak hua pyar ki is aag mein jal kar
aur jhank ke us ne kabhi andar nahin dekha
Azhar Naiyyar
thi us ki band muTThi mein chiTThi dabi hui
jo shaKHs tha train ke niche kaTa hua
Azhar Naiyyar
tum bahr-e-mohabbat ke kinare pe khaDe the
tum ne meri aankhon mein samundar nahin dekha
Azhar Naiyyar