har ek samt yahan wahshaton ka maskan hai
junun ke waste sahra o aashiyana kya
Azhar Iqbal
har ek shaKHs yahan mahw-e-KHwab lagta hai
kisi ne hum ko jagaya nahin bahut din se
Azhar Iqbal
na jaane KHatm hui kab hamari aazadi
talluqat ki pabandiyan nibhate hue
Azhar Iqbal
phir is ke baad manaya na jashn KHushbu ka
lahu mein Dubi thi fasl-e-bahaar kya karte
Azhar Iqbal
tumhaare aane ki ummid bar nahin aati
main rakh hone laga hun diye jalate hue
Azhar Iqbal
ye kaifiyat hai meri jaan ab tujhe kho kar
ki hum ne KHud ko bhi paya nahin bahut din se
Azhar Iqbal
tu bhi wafa ke rup mein ab Dhal ke dekh le
is aag mein hamari tarah jal ke dekh le
Azhar Javed