ye alag baat ki main nuh nahin tha lekin
main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diya
Azhar Inayati
ye aur baat ki aandhi hamare bas mein nahin
magar charagh jalana to iKHtiyar mein hai
Azhar Inayati
ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang
aahaT hui to chand dariche mein aa gaya
Azhar Inayati
ye masKHaron ko wazife yunhi nahin milte
rais KHud nahin hanste hansana paDta hai
Azhar Inayati
ek muddat se hain safar mein hum
ghar mein rah kar bhi jaise beghar se
Azhar Iqbal
ghuTan si hone lagi us ke pas jate hue
main KHud se ruTh gaya hun use manate hue
Azhar Iqbal
hai ab bhi bistar-e-jaan par tere badan ki shikan
main KHud hi miTne laga hun use miTate hue
Azhar Iqbal