main jise DhunDne nikla tha use pa na saka
ab jidhar ji tera chahe mujhe KHushbu le ja
Azhar Inayati
meri KHamoshi pe the jo tana-zan
shor mein apne hi bahre ho gae
Azhar Inayati
mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat
ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae
Azhar Inayati
naqsh miTte hain to aata hai KHayal
ret par hum bhi kahan the pahle
Azhar Inayati
palaT chalen ki ghalat aa gae hamin shayad
rais logon se milne ke waqt hote hain
Azhar Inayati
purane ahd mein bhi dushmani thi
magar mahaul zahrila nahin tha
Azhar Inayati
sab dekh kar guzar gae ek pal mein aur hum
diwar par bane hue manzar mein kho gae
Azhar Inayati