jawanon mein tasadum kaise rukta
qabile mein koi buDha nahin tha
Azhar Inayati
kabhi qarib kabhi dur ho ke rote hain
mohabbaton ke bhi mausam ajib hote hain
Azhar Inayati
karne ko raushni ke taaqub ka tajraba
kuchh dur mere sath bhi parchhaiyan gain
Azhar Inayati
KHud-kushi ke liye thoDa sa ye kafi hai magar
zinda rahne ko bahut zahr piya jata hai
Azhar Inayati
kisi ke aib chhupana sawab hai lekin
kabhi kabhi koi parda uThana paDta hai
Azhar Inayati
kya rah gaya hai shahr mein khanDaraat ke siwa
kya dekhne ko ab yahan aae hue hain log
Azhar Inayati
log yun kahte hain apne qisse
jaise wo shah-jahan the pahle
Azhar Inayati