hum zamin ki taraf jab aae the
aasmanon mein rah gaya tha kuchh
Atiiqullah
har manzar ke andar bhi ek manzar hai
dekhne wala bhi to ho tayyar mujhe
Atiiqullah
is gali se us gali tak dauDta rahta hun main
raat utni hi mayassar hai safar utna hi hai
Atiiqullah
kahan pahunch ke haden sab tamam hoti hain
is aasman se niche utar ke dekha jae
Atiiqullah
KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae
aainda lamha ab ke bhi yunhi guzar na jae
Atiiqullah
kis ke pairon ke naqsh hain mujh mein
mere andar ye kaun chalta hai
Atiiqullah
kisi ek zaKHm ke lab khul gae the
main itni zor se chiKHa nahin tha
Atiiqullah