KHwabon ki tarah aana KHushbu ki tarah jaana
mumkin hi nahin lagta ai dost tujhe pana
athar shakeel
aaina aaina tairta koi aks
aur har KHwab mein dusra KHwab hai
Atiiqullah
abhi to kanTon-bhari jhaDiyon mein aTka hai
kabhi dikhai diya tha hara-bhara wo bhi
Atiiqullah
apne sukhe hue gul-dan ka gham hai mujh ko
aankh mein ashk ka qatra bhi nahin hai koi
Atiiqullah
aDi chiz hai ye supurdagi ka mahin pal
na samajh sako to mujhe ganwa ke bhi dekhna
Atiiqullah
din ke hangame jila dete hain mujh ko warna
subh se pahle kai martaba mar jaata hun
Atiiqullah
faza mein hath to uTThe the ek sath kai
kisi ke waste koi dua na karta tha
Atiiqullah