ji na sakun main jis ke baghair
akasr yaad na aaya wo
Athar Nafees
kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera
hota rahta hai yun hi qarz barabar mera
Athar Nafees
KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha
aur main usi chehre se nae KHwab sajaun
Athar Nafees
kisi na-KHwanda buDhe ki tarah KHat us ka paDhta hun
ki sau sau bar ek ek lafz se ungli guzarti hai
Athar Nafees
lamhon ke azab sah raha hun
main apne wajud ki saza hun
Athar Nafees
main tere qarib aate aate
kuchh aur bhi dur ho gaya hun
Athar Nafees
us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye
phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya
Athar Nafees