kis darja mere shahr ki dilkash hai faza bhi
manus har ek chiz hai miTTi bhi hawa bhi
Athar Nadir
koi mile na mile be-qarar rahta hai
ki dil ka haal bhi ek mauj-e-ab jaisa hai
Athar Nadir
koi nahin hai aisa ki apna kahen jise
kaisa tilism TuTa hai apne guman ka
Athar Nadir
log kya sada hain ummid-e-wafa rakhte hain
jaise malum nahin un ko haqiqat teri
Athar Nadir
log qismat pe chhoD dete hain
baat banti nahin hai jab kuchh bhi
Athar Nadir
aat aangan mein chand utra tha
tum mile the ki KHwab dekha tha
Athar Nadir
sukun-e-qalb to kiya hai qarar-e-jaan bhi luTa
tumhaari yaad bhi aai to rahzan ki tarah
Athar Nadir