tujh se bichhaD ke hum to yahi sochte rahe
ye gardish-e-hayat na aaegi ras kya
Athar Nadir
tu har ek ka hai aur kisi ka nahin
log kahte rahen hamara chand
Athar Nadir
wo ishq jis ki zamane ko bhi KHabar na rahi
tere bichhaDne se ruswa nagar nagar mein raha
Athar Nadir
ye apna apna muqaddar hai is ko kya kahiye
tujhe sarab to dariya bana diya hai mujhe
Athar Nadir
ye inqilab-e-zamana nahin to phir kya hai
amir-e-shahr jo kal tha wo hai faqiron mein
Athar Nadir
ai mujh ko fareb dene wale
main tujh pe yaqin kar chuka hun
Athar Nafees
'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua
koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua
Athar Nafees