suraj lihaf oDh ke soya tamam raat
sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
Athar Nasik
yahin kahin pe adu ne paDaw Dala tha
yahin kahin pe mohabbat ne haar mani thi
Athar Nasik
yaqin barson ka imkan kuchh dinon ka hun
main tere shahr mein mehman kuchh dinon ka hun
Athar Nasik
girti hui diwar ka saya tha tera sath
phir bhi teri bahon se juda the to hamin the
Athar Raz
hum gardish-e-girdab-e-alam se nahin Darte
tufan hai agar aaj kinara bhi to hoga
Athar Raz
yun tasawwur mein dabe panw teri yaad aai
jis tarah sham ki banhon mein sitare aae
Athar Raz
ye bhi achchha hai ki sahra mein banaya hai makan
ab kirae pe yahan saya-e-diwar chala
Athar Shah Khan Jaidi