tere badan ki dhup se mahrum kab hua
lekin ye istiara bhi manzum kab hua
Ashar Najmi
tum bhi the sarshaar main bhi gharq-e-bahr-e-rang-o-bu
phir bhala donon mein aaKHir KHud-kashida kaun tha
Ashar Najmi
wo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh dagh raushan hain
unhi bichhDe parindon ko shajar wapas bulata hai
Ashar Najmi
zahr mein Dubi hui parchhaiyon ka raqs hai
KHud se wabasta yahan main bhi nahin tu bhi nahin
Ashar Najmi
ab e'tibar pe ji chahta to hai lekin
purane KHauf dilon se kahan nikalte hain
Ashfaq Amir
apni KHushi se mujhe teri KHushi thi aziz
tu bhi magar jaane kyun mujh se KHafa ho gaya
Ashfaq Amir
ye raat aisi hawaen kahan se lati hai
ki KHwab phulte hain aur zaKHm phalte hain
Ashfaq Amir