jism paband-e-gul sahi 'abid'
dil magar wahshaton ki basti hai
Asghar Abid
ujlat ke alaw mein kiye faisle 'abid'
ab soch ki barfani khaDaun pe khaDe hain
Asghar Abid
aalam-e-rozgar ko aasan bana diya
jo gham hua use gham-e-jaanan bana diya
Asghar Gondvi
aalam se be-KHabar bhi hun aalam mein bhi hun main
saqi ne is maqam ko aasan bana diya
Asghar Gondvi
aariz-e-nazuk pe un ke rang sa kuchh aa gaya
in gulon ko chheD kar hum ne gulistan kar diya
Asghar Gondvi
ai shaiKH wo basit haqiqat hai kufr ki
kuchh qaid-e-rasm ne jise iman bana diya
Asghar Gondvi
aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin
teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahin
Asghar Gondvi