اردو हिंदी
Ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai | Shaahi Shayari
ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai

Ghazal

Ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai

Asghar Gondvi

;

ek aisi bhi tajalli aaj mai-KHane mein hai
lutf pine mein nahin hai balki kho jaane mein hai

mani-e-adam kuja aur surat-e-adam kuja
ye nihan-KHane mein tha ab tak nihan-KHane mein hai

KHirman-e-bulbul to phunka ishq-e-atish-rang ne
rang ko shola bana kar kaun parwane mein hai

jalwa-e-husn-e-parastish garmi-e-husn-e-niyaz
warna kuchh kabe mein rakkha hai na but-KHane mein hai

rind KHali hath baiThe hain uDa kar juzw o kul
ab na kuchh shishe mein hai baqi na paimane mein hai

main ye kahta hun fana ko bhi ata kar zindagi
tu kamal-e-zindagi kahta hai mar jaane mein hai

jis pe but-KHana tasadduq jis pe kaba bhi nisar
ek surat aisi bhi sunte hain but-KHane mein hai

kya bahaar-e-naqsh-e-pa hai ai niyaz-e-ashiqi
lutf sar rakhne mein kya sar rakh ke mar jaane mein hai

be-KHudi mein dekhta hun be-niyazi ki ada
kya fana-e-zindagi KHud husn ban jaane mein hai