zindagi aur zindagi ki yaadgar
parda aur parde pe kuchh parchhaiyan
Asar Lakhnavi
e-wajh nahin husn ki tanwir mein tabish
lau dete hain KHakistar-e-ulfat ke sharare
Asar Rampuri
ishq mein shikwa kufr hai aur har iltija haram
toD de kasa-e-murad ishq gadagari nahin
Asar Rampuri
tum chaho to do lafzon mein tai hote hain jhagDe
kuchh shikwe hain beja mere kuchh uzr tumhaare
Asar Rampuri
aah kya kya aarzuen nazr-e-hirman ho gain
roiye kis kis ko aur kis kis ka matam kijiye
Asar Sahbai
ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein
nikal aati hain maujen hum jise sahil samajhte hain
Asar Sahbai
jahan pe chhaya sahab-e-masti baras rahi hai sharab-e-masti
ghazab hai rang-e-shabab-e-masti ki rind o zahid bahak rahe hain
Asar Sahbai