karam par bhi hota hai dhoka sitam ka
yahan tak alam-ashna ho gae hum
Asar Lakhnavi
kya kya duaen mangte hain sab magar 'asar'
apni yahi dua hai koi muddaa na ho
Asar Lakhnavi
palken ghaneri gopiyon ki Toh liye hue
radha ke jhankne ka jharoka ghazab ghaza
Asar Lakhnavi
phirte hue kisi ki nazar dekhte rahe
dil KHun ho raha tha magar dekhte rahe
Asar Lakhnavi
qasid payam un ka na kuchh der abhi suna
rahne de mahw-e-lazzat-e-zauq-e-KHabar mujhe
Asar Lakhnavi
sana teri nahin mumkin zaban se
maani dur phirte hain bayan se
Asar Lakhnavi
tumhaara husn aaraish tumhaari sadgi zewar
tumhein koi zarurat hi nahin banne sanwarne ki
Asar Lakhnavi