hawa daraKHton se kahti hai dukh ke lahje mein
abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai
Asad Badayuni
hawa ke apne ilaqe hawas ke apne maqam
ye kab kisi ko zafar-yab dekh sakte hain
Asad Badayuni
jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal
jab paDi zanjir pairon mein safar achchhe lage
Asad Badayuni
jam gai dhul mulaqat ke aainon par
mujh ko us ki na use meri zarurat koi
Asad Badayuni
jise na meri udasi ka kuchh KHayal aaya
main us ke husn pe ek roz KHak Dal aaya
Asad Badayuni
jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra
hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha
Asad Badayuni
kabhi mauj-e-KHwab mein kho gaya kabhi thak ke ret pe so gaya
yunhi umr sari guzar di faqat aarzu-e-visal mein
Asad Badayuni