اردو हिंदी
Poshida kyun hai tur pe jalwa dikha ke dekh | Shaahi Shayari
poshida kyun hai tur pe jalwa dikha ke dekh

Ghazal

Poshida kyun hai tur pe jalwa dikha ke dekh

Asad Badayuni

;

poshida kyun hai tur pe jalwa dikha ke dekh
ai dost meri tab-e-nazar aazma ke dekh

phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz
kanTon ki samt bhi to nigahen uTha ke dekh

leta nahin kisi ka pas-e-marg koi nam
duniya ko dekhna hai to duniya se ja ke dekh

dil mein hamare dard zamane ka hai nihan
paiwast dil mein saikDon paikan jafa ke dekh

jo baada-KHwar-e-gham hain unhen bhi kabhi kabhi
saqi sharab-e-husn ke saghar pila ke dekh

ban jaega kabhi na kabhi dard hi dawa
'asad' ke dil mein dard ki shiddat baDha ke dekh