shauq chaDhti dhup jata waqt ghaTti chhanw hai
ba-wafa jo aaj hain kal be-wafa ho jaenge
Arzoo Lakhnavi
sine mein zabt-e-gham se chhaala ubhar raha hai
shoale ko band kar ke pani bana rahe hain
Arzoo Lakhnavi
tere to Dhang hain yahi apna bana ke chhoD de
wo bhi bura hai bawla tujh ko jo pa ke chhoD de
Arzoo Lakhnavi
wae ghurbat ki hue jis ke liye KHana-KHarab
sun ke aawaz bhi ghar se na wo bahar nikla
Arzoo Lakhnavi
wafa tum se karenge dukh sahenge naz uThaenge
jise aata hai dil dena use har kaam aata hai
Arzoo Lakhnavi
wahshat hum apni baad-e-fana chhoD jaen
ab tum phiroge chaak gareban kiye hue
Arzoo Lakhnavi
wo hath mar palaT kar jo kar de kaam tamam
baDe azab mein hun main sawab leta ja
Arzoo Lakhnavi