wo palaT ke jald na aaenge ye ayan hai tarz-e-KHiram se
koi gardish aisi bhi ai falak jo bula de subh ko sham se
Arzoo Lakhnavi
wo qissa-e-dard-agin chup kar diya tha jis ne
tum se na suna jata mujh se na bayan hota
Arzoo Lakhnavi
ye gul khil raha hai wo murjha raha hai
asar do tarah ke hawa ek hi hai
Arzoo Lakhnavi
hul ke kabhi na fash kar raaz-o-niyaz-e-ashiqi
wo bhi agar hon samne aankh uTha ke bhi na dekh
Arzoo Saharanpuri
go sarapa-e-jabr hain phir bhi
sahab-e-iKHtiyar hain hum log
Arzoo Saharanpuri
kabhi kabhi to ek aisa maqam aaya hai
main husn ban ke KHud apni nazar se guzra hun
Arzoo Saharanpuri
mahsus kar raha hun KHud apne jamal ko
jitna tere qarib chala ja raha hun main
Arzoo Saharanpuri