اردو हिंदी
Ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha | Shaahi Shayari
ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha

Ghazal

Ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha

Asad Badayuni

;

ajab din the ki in aankhon mein koi KHwab rahta tha
kabhi hasil hamein KHas-KHana o barfab rahta tha

ubharna Dubna ab kashtiyon ka hum kahan dekhen
wo dariya kya hua jis mein sada girdab rahta tha

wo suraj so gaya hai barf-zaron mein kahin ja kar
dhaDakta raat din jis se dil-e-betab rahta tha

jise paDhte to yaad aata tha tera phul sa chehra
hamari sab kitabon mein ek aisa bab rahta tha

suhane mausamon mein us ki tughyani qayamat thi
jo dariya garmiyon ki dhup mein payab rahta tha