maKHarab-e-kar hui josh mein KHud ujlat-e-kar
pichhe haT jaegi manzil mujhe malum na tha
Arzoo Lakhnavi
misal-e-shama apni aag mein kya aap jal jaun
qisas-e-KHamushi legi kahan tak ai zaban mujh se
Arzoo Lakhnavi
mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair-mumkin hai
baDhi jab be-KHudi phir kaun Darta hai gunahon se
Arzoo Lakhnavi
mohabbat wahin tak hai sachchi mohabbat
jahan tak koi ahd-o-paiman nahin hai
Arzoo Lakhnavi
mujhe rahne ko wo mila hai ghar ki jo aafaton ki hai rahguzar
tumhein KHaksaron ki kya KHabar kabhi niche utre ho baam se
Arzoo Lakhnavi
nale hain dilsitan to phir aahen hain barchhiyan to phir
hum to KHamosh baiThe the aap ne kyun sata diya
Arzoo Lakhnavi
nam mansur ka qismat ne uchhaala warna
hai yahan kaun sa haq-go ki sar-e-dar nahin
Arzoo Lakhnavi